Golden Words Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum Per Allah Ki Enyat Hai.(Imam Hussain a.s) Kitna bad naseeb hai wo insan jo apnay waldeen ki khdmat ker k dua nahi layta our logon ko kehta rehta hai k mere liye dua kerna!! (Hazrat Imam Ali a.s). Iftaari k waqt roza daar ki dua radd nahi ki jati.(Hazrat Muhammad S.A.W) zindagi ustad se ziada sakht hoti hai, ustad sabaq de kr imtehan leta hai aur zindagi imtehan le kr sabaq deti hai. (Hazrat Imam Ali a.s) Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat Hai. (Hazrat Imam Ali a.s) Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai,jo issay masal k phenk deta hai.(Hazrat Imam Ali a.s) Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hay.(Hazrat Imam Ali a.s). Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay (Hazrat Imam Ali a.s). Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.(Hazrat Imam Ali a.s). Ache logon ki aik khubi ye bhi hoti hai k unhain yad rakhna nahi parta wo yad reh jate hain… (Hazrat Imam Ali a.s). EILm ki waja se DOSTON main izafa hota hai aur dolat ki waja se DUSHMANO main izafa hota hai(Hazrat Imam Ali a.s). Agar tumhein yaqeen ho jaey kay tumhara Rizq Allah kay paas hey, tou phir Rizq ki talash na karo balkay Raziq (Allah) ki talash karo jis kay paas tumhara Rizq hey.(Hazrat Imam Ali a.s).

Saturday, January 30, 2010

WADO ALAM @ SOBHODERO


No comments:

Post a Comment